How to use whatsapp in pc/laptop top 2 method 2017( pc yan laptop men whatsapp kesy use kren)
Hello friends mery blog techinfo men phr se ap ko khushamdeed kesy ho ap sb friends aj men ap ko btaon ga k kesy ap apne pc men whatsapp use kr skte ho g Han bilkul friends pc men ap whatsapp use krskte ho friends whatsapp ek aisa App hai jo aaj kal har ek adami usy use kr rha hai.Mobilet aur Iphone me sabhi log Whatsapp chala rahe hai. Aaj whatsapp sabse zyada papular app ban gaya hai jisko har koi chala raha hai. Whatsapp aaj har ek adami ke mobile me chalne wala app ban gaya hai.
Dosto aap to jante hi hai ki Whatsapp kisi bhi android phone ya tablet me badi asani se chal jata hai. Aur har koi chala bhi raha hai. Par agar hum baat kare ki Whatsapp ko hum apne computer ya pc me chalana chahe to kaise chalaye ? Ab computer me whatsapp chalana bahut hi asaan hai. Agar aapke mobile me whatsapp hai to aap apne laptop me bhi usi app ko chala sakte hai. To aiye jante hai ki kaise hum apne computer me whatsapp ko chalaye.
Friends agar aapko apne computer ya laptop me whatsapp chalana hai to computer me Internet Connection hona bahut hi zaruri hai. Aur isko aap apne mobile se connect karke chalayege to mobile me Whatsapp hona bhi zrori hai. Apke mobile me jo app hai usi ke zriye aap apne computer me apne whatsapp account me login kar sakte hani.
Friends,aj men ap ko laptop yan pc men whatsapp chlane k top 2 method btaon ga.
METHOD #1:
To aiye jante hai ki kaise hum apne whatsapp ko apne computer me chala skte hain step by step.
Step #1;
Sab se pahle aap apne computer par http://web.whatsapp.com khole.
Step # 2;
Jaise hi aap open karege aapke samne ek code bankar ayega isko QR code kahte hai.
Step # 3;
Ab aap apne mobile me whatsapp open kare (mobile ki oper ki side pr hota h ye button) aur menu button par press kare.
Ai
Aysa karne se apke mobile ka Camera open ho jayega. Ye camera aapke scanner ki tarah kam karta hai wo aapke QR code ko scan karne ka kaam karta hai.
Step # 4;
Ab aap apne camera se laptop yan pc par bane huye code ko scan kare.
Jab code scan ho jayega to code scan hote hi aapke computer me whasapp web chal jayega.
Note: laptop yan pc me whatsapp use karne ke baad aap apne account ko logout kar de jisse aapka account safe rahega.
Aap apne whatsapp account ko do tarikon se logout kar sakte hai. pahla aap apne computer se logout kar sakte hai isko aap menu me jakar logout kar sakte hai. Aur dusra mobile se bhi aap log out kar sakte hai isme aap mobile app me manu phr whatsapp web me jakar "logout from all computers" par press kar de.
METHOD #2:
To aiye friends jante hain second method is method men hm software k zriye pc yan laptop men whatsapp chlaen gen. Us software ka naam hai BLUESTACKS.
Chliye shuro krte hain step by step:
Step#1;
Sabse pahle aap Bluestacks ko Download kar le.
>>>>>>>Download Bluestacks
Step#2;
Download krne k bad is ko apne pc yan computer men install kr Len.
Step#3;
Ab aap apne laptop yan pc ke File Manager me jakar us folder ko open kare jisme aapke Android support ke software hai. Jaise hi aap open karege usme bluestacks ka icon dekhe ga.
Ab aap whatsapp ko select kare aur agree and Continue kare.
Jayse hi ap continue par click karen gen ek new window open hoga aur aapse apna mobile number aur apne country ka name enter karne ke liye kahe ga. Aap jo mobile number chala rahe hain usi ko enter kare.
Aur apko jis mobile no. par whatsapp chalana hai usi ko enter kare. Mobile no. aur country ko enter karke OK kar de.
Step#4;
Jaise hi aap ok par click karege to ap ko thoda wait karna padega aur fir aapke no. par ek message ayega. Us message me 6 digit ka code ayega us verify code ko aap laptop yan pc men enter karke ok kar de.
Step#5;
Code enter karne ke baad apna name enter kar de aur continue par press kar de.
Jaise hi aap iss step ko follow karege aap ka whatsapp puri tarah chalne ke liye taiyaar ho jaye ga.
Dosto ab aap apne computer ya laptop me whatsapp ko badi asaani se open kar sakte hai aur chalana shuru kar de.
Note; friends jab aap laptop yan pc ko band karna chahe to aap whatsapp ko logout kar de.
To friends kesa lga ap ko mera ye tutorial I hope ap ko acha lga ho ga.friends post ko share krna mt bholna or ager koi step krne men problem a rhi hai to ap mujh se comments kr k och skte ho. Good bye